Friday, July 23, 2010

Geet mein dhalte lafzon mein

One helluva movie. One amazing song. I'm writing my feeling about Udaan in PFC, will post it soon. Love this song. Hats off Amitabh. I mean, a line like,
lamha ye manga nahi, ise humne cheena hai;
yoon hi jeena.


--

Geet mein dhalte lafzon mein,
taal pe chalti nabzon mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
shaam se leke sehron mein,
dhoop chhadi duphero mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
kya baat hai, jo baat hai, taaza lage
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan yeh umango se, poora hua seena hai
seena hai seena hai seena hai
lamha yeh maanga nahi, ise humne cheena hai
cheena hai cheena hai yoon hi jeena hai

dhool jami thi aankhon mein,
khwaab khile ab lakhon mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
dard ki baatien kal ki hain,
aaj mein khushiyan chalki hain
naya, kuchh naya, zaroor hai
jaibon mein hum, raatein liye, ghuma kare
fursat ke yeh, mauke sabhi, jhooma kare
haan yeh umango se, poora hua seena hai
seena hai seena hai seena hai
lamha yeh maanga nahi, ise humne cheena hai
cheena hai cheena hai yoon hi jeena hai

andheri mein hai, nayi garmiyaan…
junoon sakht hai, gayi narmiyan…
hai dilchasp yeh, aag si
aag si…
mitenge nahi, yaad se
yaad se…

geet mein dhalte lafzon mein,
taal pe chalti nabzon mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
shaam se leke sehron mein,
dhoop chhadi duphero mein
naya, kuchh naya, zaroor hai
kya baat hai, jo baat hai, taaza lage
zindagi ki nayi nayi faza lagey
haan yeh umango se, poora hua seena hai
seena hai seena hai seena hai
lamha yeh maanga nahi, ise humne cheena hai
cheena hai cheena hai yoon hi jeena hai

No comments: