Thursday, July 17, 2008

Socha Hai- Rock On

Farhan Akhtar rocks...brillian lyrics...this film's gonna be a huge hit :D...rock-on farhan...
------

aasma hai neela kyun
paani geela geela kyun
gol kyun hai zamee
silk mein hai narmi kyun
aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyun nahi

ped ho gaye kam kyun
teen hain ye mausam kyun
chaand do kyun nahi
duniya mein hai jung kyun
behta laal rang kyun
sarhaden hain kyun har kahin
socha hai... ye tumne kya kabhi
socha hai... ki hain ye kya sabhi
socha nahi to socho abhi

behti kyun hai har nadi
hoti kya hai roshni
barf girti hai kyun
dost kyun hain roothte
taare kyun hain toot-te
baadlon mein bijli hai kyun
socha hai... ye tumne kya kabhi
socha hai... ki hain ye kya sabhi
socha nahi to socho abhi

sannata sunai nahi deta
aur hawayen dikhayi nahi deti
socha hai kya kabhi
hota hai ye kyun............

aasma hai neela kyun
paani geela geela kyun
gol kyu hai zamee
silk mein hai narmi kyun
aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyun nahi

ped ho gaye kam kyun
teen hain ye mausam kyun
chaand do kyun nahi
duniya mein hai jung kyun
behta laal rang kyun
sarhaden hain kyun har kahin
socha hai... ye tumne kya kabhi
socha hai... ki hain ye kya sabhi
socha nahi to socho abhi......

No comments: